Ghar baithe Paise kaise kamaye

Ghar baithe Paise kaise kamayeAaj ke samay me logo se judne ke liye ya phir apne business ko badane ya bada karne ke liye internet ka sabse bada mahtav hai. Corona kal ke time per puri earthvyavastha per bhari mar padi hai. Logo ka ghar se nikalna dubhar ho gaya hai. Aise me berojgari ne apne pair pasar liye hai. Isliye kai log ghar baithe hi paise kamane ka jariya dhund rahe hai. Aise me sawal yah uthta hai ghar baithe paise kaise kamaye. Kin kin tariko ka istemal Karen. Ki online hi ghar baithe paise kamaye. Internet per aise bahut se website mil jayenge jahan se aap ghar per hi kam karke paise kama sakte hai, lekin iske liye aapko internet ke bare me puri jankari honi chahiye kyonki internet per aise bahut se nakli website mil jayegi jo aapko paisa dene ka vada karte hai lekin kam karne ke bad paisa nahin dete hain. Aapko internet se online kam karke paise kamane hai to iske liye aapko bahut mehnat karni hogi sath hi smart work ya hard work bhi karna hoga tabhi aap paisa kama sakte hai internet per iske alawa aur bhi kai baton ki jankari hona bahut jaruri hai. Is prakar se is article me ghar baithe paise kaise kamaye is iska nimnlikhit vivran kiya gaya hai.

Blogging karke paise kamaye

Yah ek bahut achcha tarika hai Online earning ka aap free blog bana kar paise kama sakte hai. Free blog banana ke liye internet per bahut sare plateform hai jis par aap free blog bana sakte hain. Adsense : aap apne blog per google adsense se paise kama sakte hai aapko 10 se 15 unique article likhne honge aur phir Google Adsense ke liye apply karna hoga. Jab Google Adsense se aapko approval mil jayega uske bad aap apne blog per ads show kar sakte ho.

Jab koi visitor ad per click karega to aapko paise milenge. Kitne paise milenge yah depend karta hai CPC per.

You Tube se Paise kamay

YouTube ek aisa platform hai jahan per aap kisi bhi tarah ki jankari le sakte ho video ki madad se aur video ko share kar sakte ho agar aapke pas koi talent hai jaise singing, dancing aur kuchch bhi to aap YouTube per share kar sakte ho aur logon tak apne talent ko aasani se pahuncha sakte ho iske alawa YouTube per Online paise bhi kama sakte ho.

Agar aapke pas koi bhi creative idea hai to aap uska video banakar YouTube per upload kar sakte ho YouTube per apne video ko upload karne ke liye aapko sabse pahle YouTube per apna ek channel banana padega. Jab aap YouTube per apna ek channel bana lete hain aur aapka monetization active ho jata hai to aapki video per Google Ad sense ka AD dikhya jata hai tab aap ko paise milte hai.

Affiliate marketing karke online paise kamaye

Aaj ke samay me affiliate marketing kafi jyada popular ho gaya hai log isase kafi achcha paisa kama rahe hai agar aap kisi bhi product ko online bikwate hain, to aapke liye aapko vahan se kafi achcha commission milta hai.

Agar aapke pas koi website ya blog hai to aap kisi bhi product ko online sell karke kafi achcha paisa kama sakte hain lekin iske liye aapko blog website, YouTube channel hona jaruri hai jis par rojana hazaron log aayen aapke dwara promote kiye gaye product ko kharidenge tabhi aapko uska commission milega for example Amazon affiliate programme jiv karke product ko promote kar sakte hain.

Freelancing karke

Agar aapke pas koi bhi achchi si skill hai jiske bare me aapko puri tarike se knowledge hai to aap bhi freelancing se paise kama sakte hain. Freelancing ek aisa tarika hai jahan se aap dusron ke kam karke paise kama sakte hain. Freelancing ke jariye aaj log mahine ke hazaron lakhon rupaye kama rahe hain. Yadi aapko writing ka skill achcha hai ya phir aap designing karna jante hai ya phir logo banana jante hain ya phir aapke pas aur bhi koi knowledge hai to aap freelancing karke paise kama sakte hain. Aap freelancing karna chahte hain to aap fiber.com per apna account banaye.

Paid Surveys karke paise kamaye

Bahut sari badi companies aapko paid surveys karke paise kamane ka mauka deti hai. Survey me aapko company ke products ke bare me rai li jayegi yadi aap sahi jawab doge to aapko kuchch paise milenge. Turant kamai karne ke liye yah ek bahut achcha option hai yadi aapko products ke bare me achcha knowledge hai to aap paid surveys se achchi kamai kar sakte hai.

Android Apps Ka Upyog Karke Paise Kamaye

Android apps se paise kamana bahut asan hai yahan se aap turant kuchch paise kama sakte hai. Yadi aap ek student hain to aapke liye Android Apps se paise kamane ka tarika bahut achcha hai. Aap kai tarikon se mobile apps se paise kama sakte hain jaise recharge karke, dosto ko refer karke, surveys ke aur bhi bahut sare tarike hain. Popular earning apps hai, Rozdhan Android App, OneAd, PhonePe, Google Pay Tez App, Paytm, Task Box, TrueBalance. Yah sabhi apps kamai karne ke liye bahut achche hai.

Android App Development

Yadi aapko Programming Languages ka knowledge hai to Android Applications bana kar bahut paisa kama sakte hai.

Android application development me jyada istemal Java aur XML language hoti hain yadi aapko inke bare me jankari nahin hai to aap YouTube per video dekh kar seekh sakte ho.

Android Mobile ke upyogkarta day by day badate ja rahe hain jab aap koi upyogi android app developed karoge to uska bahut sare log istemal karenge aur aapki bahut achchi kamai hogi.

Yadi aap ek achchi Android Application developed karoge jo logon ke liye useful ho to aap usase bahut paisa kama sakte ho.

Photo sells karke paisa kamane ka tarika

Agar aap ek professional photographer hain ya aapko photography ka experience hai to aap isase bhi bahut paise kama sakte hain. Aap events aur famous places per ja ker photos le sakte hain aur phir sell kar sakte hain.

Photoes bechker paise kamane ka tarika bahut aasan hai kyonki isme aapko jyada investment bhi nahi karni hai. Iske liye aapko sirf ek camera kharidna hoga. Photography se paisa kamane ke liye aapka professional Photographer hona jaruri hai.

You may also like...

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Translate ยป