Ghar ka decoration kaise kare
Ghar ka decoration kaise kare is sawal ka jawab dene lage to kai prashan aur uth jate hai jaise isme kitna kharcha aa jayega? Saman kahan se kharide? Purana saman ka use kaise kare itayadi question uthte hai. Ghar ke decoration ki jab hum bat karte hai to hume lagta hai ki bahut kharcha ho jayega leking aisa nahi hai hum kam kharch me bhi apne ghar ko khubsurat aur akarshan bana sakte hai. Ghar ko aakarshak banana ke liye ghar ka purana saman bhi hum use ker sakte hain. Jaise ki purane petal ke bartano ko polish karke hum sajane ke kam me la sakte hain. Uske uper stone lagakar use aur bhi aakarshak bana sakte hain. Iske alawa purane achche kapado ka bhi use ker sakte hain. Aise hi aur bhi tarike hain jinhe apnane se hum apne ghar ki khubsurati ko aur bhi bada sakte hain. Kabhi-kabhi apne ghar ko dubara banana aur phir se taiyar karna awashyak hai. Ghar ke pure look ko bhi badal deti hai. Yahan kuchh sujhav diye gaye hain, jo aapko ek kifayati bajat per apne ghar ko phir se taiyar karne me madad karenge.
Furniture ke sthan me badlav Karen
Bade room ka saman table ya side table, chair, stool aur exeseseries me painting, ya decoration ke saman aadi ko living room me laga sakti hain aur living room ka kuchch saman bedroom me saja sakati hain. Isse living room aur bedroom dono me badlav mahsoos hoga. Nakali phoolo se living room ka decoration ka kam ker sakta hain.
Paint Karen
Apne ghar ke darwaje ko paint ya saf ker sakte hain. Agar apne ghar ke purane saman ya darwaje saph karte hain to yah bhi ghar ki khubsurati ko bada dega. Koi bhi purane saman ke uper ki gandagi ko saf Karen aur dekhe ki ghar ke kamare kaise chamkane lagte hain. Chahe to ki dukan se kuchch sajane ka saman kharid ke bhi la sakti hain. Ghar ki deewaro ko khubsurat rang se paint karne se hi ghar me kafi badlav aa jata hai. Kuchch achche rang aur unke sath light ka sath aapke ghar ko aur bhi khubsurat bana dega.
Lights
Agar aapke ghar me kudarati prakash aata hai to ise achcha aur kya ho sakta hai. Yah aapke ghar ko aur bhi aakarshak bana deta hai. Sunishchit Karen ki kamaro ke her kone ko pryapt prakash prapt ho.
Flouring
Apne purane fursh ko naya karne ke liye fursh paitern tiles, marble ya wood ke fursh ke dwara bhi ghar ko phir se naya jaisa bana sakte hai.
Ghar ke saman me badlav Karen
Kucch naya Karen ghar ke parde badal de. Darwajo ke purane rang badal kern aye rang paint Karen. Sofe ki gaddiyon ke cover badle. Isase bhi badlav mahsoos hoga.
Tasveere ya Aiana lagaye
Apne ghar me nayi tasveere lagaye jo aapko achchi lagti ho. Aur use achche se frame karwaye. Agar aap aiana lagaye to dhyan rakhe ki usme kisi vastukala ka derpan dekhai de. Isase yah aur bhi akarshak lagega.
Avayavasthit na Karen
Sara saman ek hi kamre me na sajayen. Jitna ho sake sadharan rakhen. Aap ek almirah ya book cash rakh sakte hain. Jisase kamara Avayavasthit nahi lagega. Avayavasthit rahne se ghar me gandagi lagti hai.
Mombattiyon se karen Roshan
Jaruri nahin ki mombattiyan hamesha roshani ke liye hi jalai jayen. Ghar ke kisi khali hisse me inhe rakhker bhi aap us jagah ki khoobsurati bada sakti hain. Kisi khali pade table per alag-alag rang aur size ki mombattiyan rakhen aur phir dekhen aapka ghar kitna behtarin lagega.
Carpet bichchayen
Carpet yah kisi bhi kamare ki khoobsarti ko bada degi. Ise kisi kone me bichchayen isase us kone ki khoobsarti bhi badegi aur aapke ghar ki bhi.
Purane lamp badlen
Lamp ek aisi cheej hai jo aapke kamare ki halat bayan ker dete hain. Isliye purane aur kharab ho chuke lamp ko badal kern aye lamp lagayen.
Sajavati takiye lagayen
Aapne purane sofe ke liye nayi aur achchi pillow ya takiya sajayen. Aaj to takiyon me bhi nayi tarah ki pattern aane lage hain, jisase aap apne purane sofe ko kuchch nayapan de sakte hain.
Murti lagayen
Ghar me murtiyan lagayen isase aapka ghar aur bhi khoobsurat lagega. Yah hamesha hi logo ke aakarshan ka Kendra raha hai.
Books
Kuchch achchi kitabe apne kamre me sajayen, jo aapke kamre ke rang se match Karen. Kitabe kafi matra me ho jise kamara me khalipan na lage.
Bartan
Aap mitti ke bartan bhi apne ghar me saja sakte hain. Aaj to bartano me bhi kai sari design aate hain, jo aapke ghar ke rango se match ker sakte hain.
Prakriti ko ghar layen
Ghar me flower vase me taje phool lagayen ya phir living room k eek kone me beech se ikaththa ker laye gaye Kankan pathar aur seep saja de. Alag alag size ke shankh ya khali kanch ke glass me ret bharker aap apne ghar ke shant kone me nai life bhar sakti hai.